You are on page 1of 2

Shopping mall me kuch samay Hal hi me main apne parivar ke saath shopping mall me gayi thi ek Tv kharidne .

Jaise hi hum mall k praveshdvar me pahunche maine dekha ki mall ki puri imarat kaach ki bani hui hai aur bahar ek khobsurat shilpnirmit (artificial) jharna bhi tha. Andar jaate hi maine dekha ki jitna bada yeh mall bahar se dikh raha tha use kayi zyada vishal ye andar se bhi tha. Mall me anginat dukane thi aur saari dukane acchi tarah se sajayi gayi thi. Kapde ki dukane, joote ki dukane, khilone ki dukane, ghene, here jwaharat ki dukya aise vibhin prakar ke cheejo ki dukane thi. Thodi der ghumne ke baad hum ek restaurant me gaye aur yaha par maine mere parivar ke saath bahut hi maaze kiye. Sabhi employees ne bahut hi acchi samvesh pehni hui thi. Hum phir gamezone ki taraf chale jaha par maine bahut saare khel khele kuch gmaes me main jit bhi gayi. Waha se nikalte samay humne candy floss li aur hum nikal pade apne ghar , humne jitna socha tha us se jyada hi kharida (TV, Microwave and DVD player) par yeh puri tarah ek adbhut anubhav tha. Aur bahar nikalte samay maine bahut k haathon me bade trollies dekhi aur who puri tarah se vibhin cheezon se bhari hui thi vaise hi jasisa mera mann bahut hi aanand aur utsah se bhari thi Child Aur Mobile Mobile aaj ke yug me ek mahatavpurn yantr hai . Aaj Mobile hume sabse jude rehne ki dor ban gayi hai. Iske acchai toh bahut saare hai aur iske upyog se kaam bahut hi aasan ho chuki hai, par yehi mobile k bahut hanikarak bhi hai. Vaigyanik rup se siddh bhi ho chukka hai ki Aksar mobile ki upyog se chote baccho ko adhik se adhik kharta ho sakta hai Cell phone ki nuksan pahunchanewali heat energy se cancer hone ki bhi khatra ho sakta hai. Lekin aaj kal k baccho ka dhyan dusri cheezo pe hoti hi nahi kyu ve itne vyast ho gaye hai cell phone par jaise ki messagin karne pe, ya phir baat chit karne pe, ya phir games khelne par, ya phir gaane sune me. Baccho ko outdoor games khelna bahut zaroori hai unke swasth ke liye, par outdoor games ki jagah iss cell phone games ne le li hai. Mobile ki sahi upyog agar kare toh use acchi cheez kuch na ho lekin duruypo se aur adhik upyog se yeh bahut hi haanikarak ho sakti hai, na sirf baccho ko balki bado ko bhi. Isliye baccho ko mobile k bajai maidan me khel kudna chahiye aur ha cell phone ka istamal bhi simit sare se karna chahiye.

Akbaar ka Mahatav Akbaar hamare jivan me ek bahut hi ahim jagah bana chuki hai. Agar hame khana hmare pet ke liye zaroori hai toh gyan Hamare buddhi k liye bahut hi aavshak hai, aur yehi gyan hame akbaar se hi mil sakti hai. Hume akbaar se desh videsh ki suchna milti hai aur iss se hamare gyan aur bhi bad jaati hai. Aur prajatrant jaise desh me akbaar bahut hi ahmiyat rakti hai. Akbaar janta ki rai ko prabhavit karne ke dvara ek desh ke aam logo ki rai jaan leti hai. Akbaar ek samaj sudhar ka kaam karti hai. Akbaar bahut saare Vishayon ko shamil karta hai jaise ki rakjkiya (politics), arthshartrya (economics), khel (sports), vigyapan (advertisement), vyapar(commerce,business) . akbaar hame ghar baithe hi saari duniya ka samachaar de deti hai aur hame apni chaar diwaro se bahar ki jankari deti hai. Angrezi me NEWS matlab north east west south se aane wali kahbar matlab sampoorn gyan jo ki samanya jagrukta, aur vartaman

ghatnaye se juda rakta hai.Isilye abkaar jo bhale hi 2 rupye me milta hai lekin karodon ki jaankari deti hai. Aao Padhe hum Aage bade hum Humare man me aksar ek sawal ut tha hai ke padhna jaroori kyu hai. Lekin padhna isiliye zaroori hai kyuki hume is se gyan prapt ho sakti hai. Aur isi gyan se hum hamara aaj aur bhavishya me roshni daal sakte hai. Is se ham prabodhan (Enlightenment) ho sakte hai, aur zindagi me aage badne ke liye hame panda bahut zarrori hai. Aaj ham mehnat se padhenge toh ham swavlambi (independent) ho sakte hai aur yehi hamare ek agla kadam hoga shakast (empower) ban ne me. Kayi logo kamaan na hai ki acche padahi karne se aacha kaam uplabd ho sakta hai lekin accha kaam paana hi udhesh nahi hai padhai ki , padahai se hum naye vicharon aur navarchar (innovation) se nayi duniyan bana sakte hai. Aur jis tarah boond boond se ghat barta hai usi tarah agar saare bacche padhe to hiss desh ka aur iss duniya kia vikas hona nischit hai. Toh panda sirf apne tak simit mat rakhiye kisi garib (unpriviledged) bacche ko bhi iss gyan k sagar ke kinaare le jaaye. Gyan toh baatne se hi baadta hai toh kyu hichkichaya hum aao padhe hum aur aage bade hum.

You might also like